Monday 14 October 2013

Mein aur Meri tanhayee







Main aur meri tanhai Aksar ye batein karte hain Tum hoti to kaisa hota tu yeh kahti, tum woh kahti Tum is baat pe hairan hoti tum us baat pe kitni hasti tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota Main aur meri tanhai ,aksar yeh baten karte hain..............!!!



 Yeh raat hai ya teri julfe khuli hui hain hai chandani, ya tumhari nazron se meri raatein dhooli hui hain Yeh chand hai ya tumhara kangan sitarain hain ya tumhara aanchal Hawa ka jhoka hai, ya tumhare badan ki khusboo Yeh pattiyon ki hai sarsarahat, ki tumne chupke se kuch kaha hai Yeh sochta hoon main kabse gumsum jabki mujhko bhi yeh khabar hai Ki tum nahi ho, kahin nahi ho Margar yeh dil hai ki kah raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho..................!!!! 



Majboor yeh haalat idhar bhi hai udhar bhi ,Tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi Kahne ko bahut kuch hai magar kisse kahain hum Kab tak yuhin khamosh rahein aur sahe..... humein Dil kahta hai duniya ki har ek rasm utha dein Deewar jo hum dono mein hai aaj gira dein Kyun dil mein sulagte rahain, logo ko bata dein HAAN HUMKO MOHABBAT HAI, MOHABBAT HAI, MOHABBAT! Abb dil mein yahi baat edhar bhi hai udhar bhi