Thursday 7 June 2012

Hamara Bachpan

Bachpan ki woh ameeri na janay kahan kho gai..jab paani main humaray bhe jahaaz chala kartay thay....








Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani, 
Magar Mujhko Lauta Do 
Wo Bachpan Ka Sawan..... 
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani... 

Muhale Ki Sabse Purani Nishani, 
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani, 
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera, 
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi, 
Wo Chotti Si Raaten..... 
Wo Lambi Kahani 

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Bana’na 
Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Badi Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............

Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani... 





By: Naresh sharma

No comments:

Post a Comment